wahin the shaKH-e-gul par gul jahan jama

wahin the shakh-e-gul par gul jahan jama
kiye bulbul ne khar-e-ashiyan jama

laga deta hai un ko chun ke aatish
huma kar ke hamare ustukhan jama

chaman mein kis ke aane ki khabar hai
kare hai phul chun chun baghban jama

hai sohbat ka pareshanon ke ye rang
hawa se howen jo barg-e-khizan jama

safar ki mujh se kya kahte ho jao
karun kya gar hua hai karwan jama

abhi mu-e-pareshan se kisi ke
meri khatir nahin ai dostan jama

falak ne sang phenka tafraqe ka
hue do-chaar sahib-dil jahan jama

na kharch-e-'mushafi' ki puchho us se
tawakkul ka hai mal-e-be-karan jama


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close