nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main mere qarib khada hai samajhta kyun nahin main ye chiz aur nahin koi mera saya hai magar ye mujh se juda hai samajhta kyun nahin main ye koi pahlu mera hai jo zat se meri kai dinon se juda hai samajhta kyun nahin main jahan pe jism ki diwar mein shigaf pada wahin se sabza uga hai samajhta kyun nahin main tumhaari aankh se main apne khwab dekhta hun yahi to meri saza hai samajhta kyun nahin main phisalti ret pe fihrist-e-khwab likhni hai ye imtihan kada hai samajhta kyun nahin main dhuan hun puchhta hun wo gaya hai shoale par ki shoala us pe gaya hai samajhta kyun nahin main tum apne-ap se kyun ikhtilaf karte ho 'shafaq' moamla kya hai samajhta kyun nahin main