nahin ye fikr koi rahbar-e-kaamil nahin milta koi duniya mein manus-e-mizaj-e-dil nahin milta kabhi sahil pe rah kar shauq tufanon se takraen kabhi tufan mein rah kar fikr hai sahil nahin milta ye aana koi aana hai ki bas rasman chale aae ye milna khak milna hai ki dil se dil nahin milta shikasta-pa ko muzhda khastagan-e-rah ko muzhda ki rahbar ko suragh-e-jada-e-manzil nahin milta wahan kitnon ko takht o taj ka arman hai kya kahiye jahan sail ko aksar kasa-e-sail nahin milta ye qatl-e-am aur be-izn qatl-e-am kya kahiye ye bismil kaise bismil hain jinhen qatil nahin milta