but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain mera khuda unhen samjhe khuda samajhte hain ada-shanas ki apne ada samajhte hain ki be-kahe wo mera muddaa samajhte hain samajhne wale tumhaari ada samajhte hain wo aur kuchh hai jise sab qaza samajhte hain falak ka nam na le koi samne un ke wo us ke zikr ko apna gila samajhte hain mujhe ye aap ke sar ki qasam na tha malum ki aap bhi rah-o-rasm-e-wafa samajhte hain ye shokhiyan bhi hasinon ki kya qayamat hain shab-e-visal ko roz-e-jaza samajhte hain ye din shabab ke hain koi kya kahe un ko abhi wo kuchh nahin achchha bura samajhte hain tumhaare khoe huon ka ajib maslak hai jo rahzan bhi mile rahnuma samajhte hain shab-e-visal mere ham-nashin se farmaya yahi to hain jo hamein bewafa samajhte hain khuda kare kahin mauqe se mujh ko mil jaen yahi hasin jo mujhe parsa samajhte hain hamein ye haq hai tera munh bhi chumte jaen ki tere shikwa-e-beja baja samajhte hain na mana kar mai-o-mashuq se hamein waiz ki hum shabab mein sab kuchh rawa samajhte hain khuda ki shan ye kothon ke baithne wale hamari aah ko ab na-rasa samajhte hain 'riyaz' ishq mein kafir buton ke hai be-khud maza ye hai wo use parsa samajhte hain