nahin zamane mein hasil kahin thikana mujhe kahan kahan liye phirta hai aab-o-dana mujhe wo dekhte hain ba-andaz-e-mujrimana mujhe ki jin se pyar hai ai dost walihana mujhe jhulasti dhup mein ai kash aisa waqt aae nasib ho teri palkon ka aashiyana mujhe kabhi raha na gharibon se wasta jis ko wo dega kya meri mehnat ka mehnatana mujhe bala se jurm ho insaf ki nigahon mein tumhaari baat to lagti hai munsifana mujhe talash-e-rizq mein aae na jis mein kotahi ilahi de wahi parwaz-e-tairana mujhe main sada-lauhi pe apni hun mutmain yaro khuda ke waste samjhe na koi dana mujhe meri hayat ki ye bhi ajib uljhan hai bhulana tujh ko kabhi bhi laga rawa na mujhe kitab di thi sadaqat ki man ne hathon mein safar pe pahle-pahal jab kiya rawana mujhe khuda ka shukr hai ai 'shauq' ab bhi zinda hun sata raha hai zamane se ye zamana mujhe