baqi na rahe hosh junun aisa hua tez utna hi bhatakta raha main jitna chala tez din dhalne laga badhne lage sham ke sae ai sust qadam ab to qadam apne utha tez kya jaaniye zalim ne kise qatl kiya hai kyun hathon mein aaj us ke hua rang-e-hina tez ab manzil-e-maqsud bahut dur nahin hai ai ham-safaro aur zara aur zara tez dekho to sahi kis ke ishaare pe chali hai aai hai kidhar se ye fasadon ki hawa tez allah re ye mere safine ka muqaddar do hath hi sahil tha ki tufan chadha tez ai 'shauq' mere haal pe ye khub karam hai jab shama jalata hun to hoti hai hawa tez