nahr jis lashkar ki nigrani mein tab thi ab bhi hai kheme walon ki jo basti tishna-lab thi ab bhi hai ud rahe hain waqt ki raftar se maghrib ki samt waqt-e-aghaz-e-safar jo tera shab thi ab bhi hai waqt jaise ek hi saat pe aa ke ruk gaya pahle jis shiddat se jo dil mein talab thi ab bhi hai hum shikayat aankh ki palkon se karte kis tarah dastan-e-zulm warna yaad sab thi ab bhi hai husn mein fitri hijabana rawish ab ho na ho ishq ke maslak mein jo hadd-e-adab thi ab bhi hai roz o shab badlenge apne kis tarah aae yaqin surat-e-haalat jo pahle ajab thi ab bhi hai hain baqa ke waswase mein ibtida se mubtala dil mein ek tashwish si jo be-sabab thi ab bhi hai nam is ka aamariyyat ho ki ho jamhuriyat munsalik firauniyat masnad se tab thi ab bhi hai