nai nai suraten badan par ujalta hun lahu se kaise ajib manzar nikalta hun wo dil mein utren to ek ho jaen raushni den dhanak ke rangon ko apni aankhon mein dalta hun zamin talwon se aa chimatti hai aag ban kar hatheliyon par jab aasman ko sambhaalta hun hawa mein thoda sa rang utre so is liye main gulab ki pattiyan faza mein uchhaalta hun koi nahin tha jo is musalsal sada ko sunta ye main hun jo is diye ko suraj mein dhaalta hun 'tarir' sanson ka rang nila hua to jaana khabar nahin thi ye sanp hain jin ko palta hun