mitti tha aur dudh mein gundha gaya mujhe ek chand ke wajud mein gundha gaya mujhe main nist aur nabud ki ek kaifiyat mein tha jab wahm-e-hast-o-bud mein gundha gaya mujhe main chashm-e-kam-rasa se jise dekhta na tha us khwab-e-la-hudud mein gundha gaya mujhe khas-khana-e-ziyan ki shararbariyon ke baad yakh-zar-e-nar-e-sud mein gundha gaya mujhe ek dast-e-ghaib ne mujhe la chaak par dhara phir waqt ke jumud mein gundha gaya mujhe is mein to aasman ke shajar bhi samar na den jis khak-e-be-numud mein gundha gaya mujhe qaus-e-quzah ki samt bahut dekhta tha main aakhir ghubar-o-dud mein gundha gaya mujhe