nai rahon pe chalna chahta hai zamana phir badalna chahta hai ye baadal kyon pareshan kar rahe hain agar suraj nikalna chahta hai zamana tang ho jata hai us par wo jab khud ko badalna chahta hai bhadakti hai gharibi aag ban kar khushi se kaun jalna chahta hai giraate hain use haalat us ke agar koi sanbhalna chahta hai 'zafar' ab sham ki chadar to odho thaka suraj hai dhalna chahta hai