nai ruton ka jawan hausla bhi KHatm hua

nai ruton ka jawan hausla bhi khatm hua
shajar ke girne se zor-e-hawa bhi khatm hua

bahut hi dur hue justuju mein manzil ki
thake hain panw ki ab rasta bhi khatm hua

tumhaare baad tawazo nahin hai mehman ki
tumhaare ghar se to ye silsila bhi khatm hua

bahut tawil safar zindagi ka lagta hai
ki waldain ka ab aasra bhi khatm hua

bahut hi der hui mehrban ke aane mein
hatheliyon se wo rang-e-hina bhi khatm hua

mizaj-e-shahr badalne laga bahut ab to
siyah qulub se khauf-e-khuda bhi khatm hua

har ek shakhs ka rishta gharaz se wabasta
'azim' shahr se pas-e-wafa bhi khatm hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close