nai tahzib ke naqshe ka ek ik rang dekhenge

nai tahzib ke naqshe ka ek ek rang dekhenge
ki hum phulon se jismon par qaba ko tang dekhenge

tabiat ke khilaf ai jaan agar kuchh faisla kar len
to apne zehn-o-dil ke darmiyan ek jang dekhenge

bahut se marhale aate hain manzil par pahunchne tak
yahan shishe se nisbat hai wahan par sang dekhenge

agar aankhon ko kholenge to ek zid hai hamari bhi
to hum gulshan ke phulon ka shagufta rang dekhenge

'azim' ab kuchh kamand-e-harf ke ashaar sunwao
naya lahja nai khushbu naya aahang dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close