nai shabahat ke marhale se guzar raha hun

nai shabahat ke marhale se guzar raha hun
ki main bashaarat ke marhale se guzar raha hun

nae nae mehr-o-mah se hum kalam hun main
maqam-e-hairat ke marhale se guzar raha hun

safar mein aata hai istaqamat ka marhala bhi
so istaqamat ke marhale se guzar ha hun

to phir mera bhi kahin to darussalam hoga
tawaf-o-hijrat ke marhale se guzar raha hun

sawad-e-shab mein lahu-khazana bikher dunga
sukhan shahadat ke marhale se guzar raha hun

malamati aur karamati log jaante hain
nai haqiqat ke marhale se guzar raha hun

mere muqabil mein aaine ka kamal kya hai
tulua-e-qamat ke marhale se guzar raha hun

'yagana' aur 'shad' 'arfi' sath chal rahe hain
sukhan mein jiddat ke marhale se guzar raha hun

suluk aur marifat ki rahen khuli hain 'shaukat'
so main shariat ke marhale se guzar raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close