parinda shakh par meri gawahi de raha hai gawah-e-mo'atabar meri gawahi de raha hai meri sachchai jitegi sawad-e-karbala mein madine ka safar meri gawahi de raha hai bashaarat ki tarah phaila hua ehsas hun main so har ahl-e-khabar meri gawahi de raha hai sukhan-abaad mein meri azanen gunjti hain koi ism-e-hunar meri gawahi de raha hai yaqinan main andhere ke qabile se nahin hun charagh-e-rahguzar meri gawahi de raha hai parinde aur hawa donon mujhe pyare bahut hain nagar ka har shajar meri gawahi de raha hai zamane ki adalat mein akela to nahin main mera pura nagar meri gawahi de raha hai sada meri zawal-e-shab ka tha elan-nama so aaghaz-e-sahar meri gawahi de raha hai gawahi sada jazbe sada khwahish ki gawahi mera mitti ka ghar meri gawahi de raha hai wahi tarikh ko dega naya andaz 'shaukat' sar-e-neza jo sar meri gawahi de raha hai