nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki ki aakhir muslimon mein ruh phunki baada-noshi ki tumhaari policy ka haal kuchh khulta nahin sahab hamari policy to saf hai iman-faroshi ki chhupane ke ewaz chhapwa rahe hain khud wo aib apne nasihat kya karun main qaum ko ab aib-poshi ki pahanne ko to kapde hi na the kya bazm mein jate khushi ghar baithe kar li hum ne jashn-e-taj-poshi ki shikast-e-rang-e-mazhab ka asar dekhen nae murshid musalmanon mein kasrat ho rahi hai baada-noshi ki reaya ko munasib hai ki baham dosti rakkhen himaqat hakimon se hai tawaqqoa garm-joshi ki hamare qafiye to ho gae sab khatm ai 'akbar' laqab apna jo de den mehrbani hai ye joshi ki