nai zamin naya aasman banate hain hum apne waste apna jahan banate hain bujhi bujhi si wo taswir-e-jaan banate hain kahin charagh kahin par dhuan banate hain bayan karte hain hum dastan lafzon mein zara si baat ki wo dastan banate hain chamakti dhup mein kirnen samette hain hum unhin ko tan ke phir saeban banate hain sukun-e-dil ke liye hum bhi roz kaghaz ke kabhi to phul kabhi titliyan banate hain jo madd-o-jazr se waqif nahin hain dariya ke wo sahilon pe hi aksar makan banate hain banate rahte hain 'jawed' kashtiyan lekin hum un ke waste phir baadban banate hain