naim aaj main is shakl ko jawan dekha khuda ko surat-e-insan mein ayan dekha tu hi hai kaba mein aur tu hi but-kade mein hai gharaz ki tujh ko bhi hum ne kahan kahan dekha karoge jaur kisi aur par to jaanoge abhi to zulm ka tum ne maza kahan dekha hum apni dil ki tilawat ko yaad kar roe kisi ke haal pe gar tujh ko mehrban dekha gire hum aan ke tab tere aastane par jahan mein koi na jab tujh sa qadr-dan dekha agarche yar to tere hazar howenge koi bhi hum sa bhala yar jaan-fishan dekha yaqin 'naim' ke ahwal ka na tha tujh ko gaya na ji hi se aakhir ai bad-guman dekha