wo meri khak-nawazi ko bhala kya samjhe khak ho kar bhi na jo khak ka rutba samjhe lazzat-e-dard pe likkhe hain bahut ne mazmun dard ho jis ko wahi dard ka hona hona samjhe muttafiq wo mere jazbaat se kaise hoga jo tilismat-e-shab-o-shab ko duniya rakhe apne atraf ka kuchh ilm nahin hai us ko kaisa dariya hai jo kashti na kinara samjhe main jo khul jaun to khul jae rumuz-e-hasti itna aasan nahin mujh ko samajhna samjhe ek jugnu ki chamak kaisi hai 'mushtaq' ahmad nur mahrum koi raat ka mara samjhe