nairang-e-jahan rang-e-tamasha hai to kya hai har ek qadam aag ka dariya hai to kya hai hum dil ke musahib hain har ek baat pe raazi ek mod ghalat rah mein aaya hai to kya hai sau rang ke dariyaon ka pani hai nazar mein ab baadiya-paimai-e-sahra hai to kya hai ek dhund hai manzar se ziyaada pas-e-manzar ek wahm par dil wala-o-shaida hai to kya hai ji len ki na ji pae ye hasrat to na hogi qismat mein fana harf-e-nawishta hai to kya hai