ho dil-lagi mein bhi dil ki lagi to achchha hai laga ho kaam se gar aadmi to achchha hai andheri shab mein ghanimat hai apni tabish-e-dil hisar-e-jaan mein rahe raushni to achchha hai shajar mein zist ke hai shakh-e-gham samar-awar jo in ruton mein phale shairi to achchha hai ye hum se dubte suraj ke rang kahte hain zawal mein bhi ho kuchh dilkashi to achchha hai saza zamir ki chehra bigad deti hai khud apni jun mein ho aadmi to achchha hai nahin jo lazzat-e-duniya nashat-e-gham hi sahi mile jo yak-do nafas sarkhushi to achchha hai safar mein ek se do hon to rah aasan ho chale jo sath mere bekasi to achchha hai dayar-e-dil mein mahakte hain phul yaadon ke rache base jo abhi zindagi to achchha hai chalo jo kuchh nahin 'baqar' mata-e-dard to hai use sambhaal ke rakkho abhi to achchha hai