nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya

nakaam-e-nashat-e-aish-o-khushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya
jo tum ne kaha wo dil ne kiya jo dil ne kaha wo hum ne kiya

ye haal hai mere marqad ka aalam hai ye mere madfan par
sarsar ne kisi din jhadu di chhidkaw kabhi shabnam ne kiya

furqat mein hazaron zulm sahe ulfat mein hazaron ranj diye
kya hum ne kiya kya tum ne kiya ye tum ne kiya wo hum ne kiya

aaankhon se bahe mitti mein mile ahbab ko parwa kuchh na hui
matam mere ek ek aansu ka mizhgan ki saf-e-matam ne kiya

ab koi use fariyaad kahe ya koi use shikwa samjhe
hum ko jo sataya bandon ne to shukr khuda ka hum ne kiya

yun aap bigadne ko bigden lekin ye zara sochen samjhen
kya sirf hamin ne ishq kiya duniya ne kiya aalam ne kiya

ye tum ne kiya ye tum ne suna ye tum ne kaha ye kaun kahe
wo puchhte hain kya hum ne kaha kya hum ne suna kya hum ne kiya

hasrat ko bhi hasrat aati hai ibrat ko bhi ibrat aati hai
wo shakl hamari gham mein hui ye haal hamara gham ne kiya

duniya ko duboya ashkon se tufan uthaya ro ro kar
dariya-e-gham ulfat mein bapa ai 'nuh' talatum hum ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close