ye aur baat teri gali mein na aaen hum lekin ye kya ki shahr tera chhod jaen hum muddat hui hai ku-e-butan ki taraf gae aawargi se dil ko kahan tak bachaen hum shayad ba-qaid-e-zist ye saat na aa sake tum dastan-e-shauq suno aur sunaen hum be-nur ho chuki hai bahut shahr ki faza tarik raston mein kahin kho na jaen hum us ke baghair aaj bahut ji udas hai 'jalib' chalo kahin se use dhundh laen hum