nakaami-e-sad-hasrat-e-parina ke dar jaen kuchh roz to aaram se apne bhi guzar jaen ai dil-zadagan ab ke bhi is fasl-e-junun mein phir bahr-e-khirad nok-e-sinan kitne hi sar jaen ye rishta-e-jaan tar-e-rag-e-jaan ki manind tute jo kabhi khak mein hum khak-basar jaen hai harf-shanasi kisi aaine ki manind patthar koi pad jae to sab harf bikhar jaen parwarda-e-shab ko hai kahan jurat-e-izhaar darte hain ki shanon se kahin sar na utar jaen is qarya-e-yakh-basta mein ai shoala-sifat aa jazbaat na ajsam ki manind thithar jaen ye khirqa-e-darweshi hamein ras hai 'jawed' dastar-o-qaba pahan len hum log to mar jaen