phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae

phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye dali jae
gul ho ek shama to ek aur jala li jae

dur karni ho jo tariki-e-rah-e-ikhlas
mashal-ashk-e-nadamat hi jala li jae

aaina main ne sar-e-rahguzar rakha hai
taki ahbab ki kuchh kham-khayali jae

haal ye tark-e-talluq pe hua karta hai
jaise machhli koi pani se nikali jae

tu ise apni tamannaon mein shamil kar le
hum se to teri tamanna na sambhaali jae

aap ke uthne pe mahfil ka ye aalam paya
jaise hanste hue chehron se bahaali jae

khastagi dekhi hai 'jawed' fasil-e-dil ki
is pe buniyaad shab-e-gham ki na dali jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close