nakhuda bhi nahin khuda bhi nahin koi mera tere siwa bhi nahin muddaa ghair muddaa bhi nahin aur hasrat ka puchhna bhi nahin kahish-e-gham harif-e-jaan hi sahi gham na ho to yahan maza bhi nahin shisha-e-dil to chor hai lekin aasra hai ki tutta bhi nahin husn ka aks hai hijab-e-nazar phir junun ko to sujhta bhi nahin bazm se un ki uth gaya khud main koi pursan-e-haal tha bhi nahin ishq mein pad ke lut gaya 'raazi' un ko gham hai ki kuchh hua bhi nahin