mere badan mein chhupi aag ko hawa dega wo jism phul hai lekin mujhe jala dega tumhaare mehrban hathon ko mere shane se mujhe guman bhi na tha waqt yun hata dega hai aur kaun mere ghar mein ye sawal na kar mera jawab tera rang-e-rukh uda dega chale bhi aao ki ye dubta hua suraj charagh jalne se pahle mujhe bujha dega khade hue hain yahan to buland-himmat log thake huon ko bhala kaun rasta dega daron ko band karo warna aandhiyon ka ye zor tumhaare kachche gharon ki chhaten uda dega jahan sab apne hi daman ko dekhte hon 'bashir' us anjuman mein bhala kaun kis ko kya dega