naKHuda saKHt KHafa garche hamin par the bahut

nakhuda sakht khafa garche hamin par the bahut
hum ne bhi azm ke pahne hue zewar the bahut

tu ne dastak hi nahin di kisi darwaze par
warna khulne ko to diwar mein bhi dar the bahut

ud nahin paya agarche ye faza bhi thi khuli
mere andar se mujhe jakde hue dar the bahut

jit tera hi muqaddar thi so tu jit gaya
warna haare hue lashkar mein sikandar the bahut

kham thi pyas teri warna to is dasht mein bhi
ek edi ke ragadne pe samundar the bahut

chhin gai aankh se hairat ki teri basti mein
har ghadi rang badalte hue manzar the bahut

waqt ki mauj hamein par lagati kaise
hum ne hi jism se bandhe hue patthar the bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close