nakhwat-e-husn pasand aai hai diwane ko sar-kashi shama ki manzur hai parwane ko dekhiye kaun si ja yar ka milta hai pata koi kabe ko chala hai koi but-khane ko teri furqat mein tasawwur hai ye bedardi ka khwab hum jaante hain nind ke aa jaane ko kaam aa jati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki shama ham-rang bana leti hai parwane ko gul pe bulbul tha kahin shama pe parwana tha hum ne har rang mein dekha tere diwane ko wa-shud-e-dil na hui ghuncha-e-khatir na khila kaun se bagh mein aae the hawa khane ko main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko