aaiye jalwa-e-didar ke dikhlane ko phunk de barq-e-tajalli mere kashane ko dekhiye kaun si ja yar ka milta hai pata koi kabe ko chala hai koi but-khane ko teri furqat mein tasawwur hai ye bedardi ka khwab hum jaante hain nind ke aa jaane ko baad mere jo hua dasht mein majnun ka guzar ro diya dekh ke khali mere virane ko kaam aa jati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki shama ham-rang bana leti hai parwane ko aaj phir shahr ke kuche nazar aate hain udas kis taraf le gai wahshat tere diwane ko ai junun tang hui wusat-e-sahra tujh se ab kahan jae tabiat koi bahlane ko gul pe bulbul tha kahin shama pe parwana tha hum ne har rang mein dekha tere parwane ko wa-shud-e-dil na hui ghuncha-e-khatir na khila kaun se bagh mein aae the hawa khane ko main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko