nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita taja hun main rit sab jahan ki jidhan piya sun prit kita sanam ki ulfat mein dil apas ka rakha tha kar chaak chaak jun gul kaho rafu-gar jahan mein aisa kahan jo dil ka ye chaak sita jahan ke sayyaad ke shikaran tamam mar kar shikar hote jo dam-e-ulfat mein aa gira so mua nahin hai hua hai jita abas hai ye fikr ai azizan lage ho rozon ki tum fikar mein ye zindagani hai do dinan ki ude hai sar par ajal ka chita karim tera ye did mujh ko sada hua hai ghiza ye ruh ka 'alim' ke tain to zindagi se nahin hai parwa charan ka hita