yar ko raghbat-e-aghyar na hone pae gul-e-tar ko hawas-e-khar na hone pae us mein dar-parda samajhte hain wo apna hi gila shikwa-e-charkh bhi zinhaar na hone pae fitna-e-hashr jo aana to dabe panw zara bakht-e-khufta mera bedar na hone pae hae dil khol ke kuchh kah na sake soz-e-darun aable ham-sukhan-e-khar na hone pae bagh ki sair ko jate to ho par yaad rahe sabza begana hai do-chaar na hone pae jama kar lijiye ghamzon ko magar khubi-e-bazm bas wahin tak hai ki bazar na hone pae aap jate to hain is bazm mein lekin 'shibli' haal-e-dil dekhiye izhaar na hone pae