nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair hota nahin visal-e-yar soz-e-dawam ke baghair tu ne agar kiya na yaad shaq rahega na-murad kaise kategi zindagi tere payam ke baghair hai ye mera hi hausla karta hun roz samna gardish-e-subh-o-sham ka gardish-e-jam ke baghair arsa hua wo fitnagar aaya nahin kabhi idhar suni padi hai rah-guzar husn-e-khiram ke baghair kaif-e-nashat dam-ba-dam chumta hai mere qadam chalta nahin hun ek gam aap ke nam ke baghair jab bhi mile wo na-gahan jhum uthe hain qalb o jaan milne mein lutf hai agar milna ho kaam ke baghair mere junun ke faiz se garmi-e-shauq aa gai sard thi mahfil-e-tarab mere kalam ke baghair