mohabbat ki karishma-saziyan aawaz deti hain teri yaadon ki alhad shokhiyan aawaz deti hain musafir lautna chaho to lamhon mein palat jao tumhein sahil pe thahri kashtiyan aawaz deti hain zara si der mein mausam badalne ka zamana hai hawa ke bazuon ki chudiyan aawaz deti hain khizan ke khauf se sahme parindo laut bhi aao tumhein phir lahlahati tahniyan aawaz deti hain chale jate hain hum apna lahu indhan banane ko dhuan deti hui jab chimniyan aawaz deti hain main jab bhi shab ke daman par koi suraj ugata hun teri sochon ki gahri badliyan aawaz deti hain zara si der ko kuchh shadman lamhe ata kar do zara sunna ghamon ki talkhiyan aawaz deti hain 'shafiq' ahbab aksar yaad aate hain hamein ab bhi hawa ke sath bajti taliyan aawaz deti hain