nala hai bulbul-e-shorida tera kham abhi apne sine mein ise aur zara tham abhi pukhta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql ishq ho maslahat-andesh to hai kham abhi be-khatar kud pada aatish-e-namrud mein ishq aql hai mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi ishq farmuda-e-qasid se subuk-gam-e-amal aql samjhi hi nahin mani-e-paigham abhi shewa-e-ishq hai aazadi o dahr-ashobi tu hai zunnari-e-but-khana-e-ayyam abhi uzr-e-parhez pe kahta hai bigad kar saqi hai tere dil mein wahi kawish-e-anjam abhi sai-e-paiham hai taraazu-e-kam-o-kaif-e-hayat teri mizan hai shumar-e-sahar-o-sham abhi abr-e-naisan ye tunuk-bakhshi-e-shabnam kab tak mere kohsar ke lale hain tahi-jam abhi baada-gardan-e-ajam wo arabi meri sharab mere saghar se jhijakte hain mai-asham abhi khabar 'iqbaal' ki lai hai gulistan se nasim nau-giraftar phadakta hai tah-e-dam abhi