jaan-o-dil hain udas se mere uth gaya kaun pas se mere koi bhi ab umid baqi hai puchhiyo dagh-e-yas se mere sab ki arzi se khush ho tum lekin ho khafa iltimas se mere shayad uthne ka qasd tum ne kiya ud chale kuchh hawas se mere aish mujh tak to pahunche tab jo tale fauj-e-gham aas-pas se mere dur hi dur phirte hain kuchh bakht ab to ummid-o-yas se mere kya main thahraun us ko dil mein 'hasan' hai wo bahar qayas se mere