nala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin hai taqaza-e-jafa shikwa-e-bedad nahin ishq-o-mazduri-e-ishrat-gah-e-khusruw kya khub hum ko taslim niko-nami-e-farhad nahin kam nahin wo bhi kharabi mein pa wusat malum dasht mein hai mujhe wo aish ki ghar yaad nahin ahl-e-binash ko hai tufan-e-hawadis maktab lutma-e-mauj kam-az saili-e-ustad nahin wae mahrumi-e-taslim-o-bada haal-e-wafa jaanta hai ki hamein taqat-e-faryaad nahin rang-e-tamkin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai gar charaghan-e-sar-e-rah-guzar-e-baad nahin sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchin muzhda ai murgh ki gulzar mein sayyaad nahin nafi se karti hai isbaat tarawish goya di hai ja-e-dahn us ko dam-e-ijad nahin kam nahin jalwagari mein tere kuche se bahisht yahi naqsha hai wale is qadar aabaad nahin karte kis munh se ho ghurbat ki shikayat 'ghaalib' tum ko be-mehri-e-yaran-e-watan yaad nahin