ye aksar talkh-kaami si rahi kya mohabbat zak utha kar aai thi kya na kasdam hain na afi hain na azhdar milenge shahr mein insan hi kya main ab har shakhs se ukta chuka hun faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya ye rabt-e-be-shikayat aur ye main jo shai sine mein thi wo bujh gai kya mohabbat mein hamein pas-e-ana tha badan ki ishtiha sadiq na thi kya nahin hai ab mujhe tum par bharosa tumhein mujh se mohabbat ho gai kya jawab-e-bosa sach angdaiyan sach to phir wo be-wafai jhut thi kya shikast-e-e'timad-e-zat ke waqt qayamat aa rahi thi aa gai kya