nala karna ki aah karna dil mein 'asar' us ke rah karna kuchh khub nahin ye teri baaten har-chand mujhe nibah karna tera wo jaur ye mera sabr insaf se tuk nigah karna kya lutf hai le ke dil mukarna aur ulte mujhe gawah karna rahmat ke huzur be-gunahi mat shaikh ko ru-siyah karna ji ab ke bacha khuda khuda kar phir aur buton ki chah karna kya kahiye 'asar' to aap tuk dekh yun haal apna tabah karna