un buton se rabt toda chahiye chahiye ab un ko thoda chahiye qahba-e-duniya ko chhoda chahiye rabt is luli se toda chahiye kis zaban se mohtasib tu ne kaha saghar-o-mina ko toda chahiye khanda-zan hai masti-e-mai-khwar par shisha-e-sahba ko toda chahiye us bat-e-mai ne kiya hum ko zalil us ki gardan ko maroda chahiye ji mein hai sair-e-falak ko jaen hum baada-e-gul-gun ka ghoda chahiye hai khiraman naz se mauj-e-nasim nikhat-e-gul ka ye ghoda chahiye donon aankhen kyun na hon dil ko aziz aahuon ka mujh ko joda chahiye gar nishan-e-manzil-e-jaanan mile phir qadam pichhe na moda chahiye ek muddat mein badhaya tu ne rabt ab ghatana thoda thoda chahiye zulmat-e-shab se hai zinat mah ki zulf ko aariz pe chhoda chahiye tute dil ko momiya-e-lutf se ho agar taufiq joda chahiye kyun shahidon ka kafan howe safed un ke tan par lal joda chahiye hai jo fikr-e-shah aaali silsila aalam-e-mani se joda chahiye koh to tesha se tuta kohkan koshak-e-khusraw bhi toda chahiye pad gai chakkar mein kashti na-khuda ab khuda par is ko chhoda chahiye gar samand-e-naz par tu ho sawar zulf ka hathon mein koda chahiye khul gaya mujh se jo ek band-e-qaba bole us ka hath toda chahiye us ki zulfon ko sapera dekh le gar use kalon ka joda chahiye ganj-e-husn us ka hai rukh aur mar zulf ganj par kalon ka joda chahiye baad-pa hai ablaq-e-chashm-e-siyah kya use kajal ka koda chahiye marta bulbul ko hai kyun baghban kan gul ka bhi maroda chahiye hai chaman mein aamad-e-fasl-e-bahaar ab dar-e-zindan ko toda chahiye hai bahaar aai qaba-e-gul se ab bulbulon ko lal joda chahiye gul bhi un ko khar aate hain nazar hasidon ki aankh phoda chahiye main hun aasi munh mein mere waqt-e-naza daman-e-tar ko nichoda chahiye rah chuka tan ke qafas mein ye bahut ruh ke tair ko chhoda chahiye ho agar na sar mein sauda ishq ka phir use patthar se phoda chahiye hath mein ai gul-badan mehndi laga panja-e-marjaan maroda chahiye kaun si mushkil hai jo aasan na ho dil mein istiqlal thoda chahiye manzil-e-mulk-e-baqa mein 'mashriqi' daman-e-nanak na chhoda chahiye