nala rukta hai to sar-garm-e-jafa hota hai dard thamta hai to be-dard khafa hota hai phir nazar jhenpti hai aankh jhuki jati hai dekhiye dekhiye phir tir khata hota hai ishq mein hasrat-e-dil ka to nikalna kaisa dam nikalne mein bhi kam-bakht maza hota hai haal-e-dil un se na kahta tha hamin chuk gae ab koi baat banaen bhi to kya hota hai aah mein kuchh bhi asar ho to sharar-bar kahun warna shoala bhi haqiqat mein hawa hota hai hijr mein nala-o-fariyaad se baz aa 'ruswa' aisi baaton se wo bedard khafa hota hai