ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila bichhda to wo mujhe kisi aur dayar mein mila mere liye wo kam-numa hairat-e-gul bana raha aankh ke wast mein sada ek ghubar mein mila bagh tha jis tarah saja us mein kisi ka hath tha jaisa bhi koi phul tha ek qatar mein mila ya to wo ek khwab tha tut ke judta hi raha ya phir khalal nigah ka aankh ke tar mein mila arsa wo mere ishq ka nikla koi fareb sa main tha kahan wo khud-numa khud hi se pyar mein mila itni zyaada bhid thi baat na us se ho saki pal bhar wo tez waqt ki rahguzar mein mila barf thi kab thi wo hawa ghar se yunhi nikal pada jism ke katne ka maza jade ki dhaar mein mila shahr wo tha ajib sa jo bhi wahan pe shakhs tha band bahut buri tarah ek hisar mein mila ye mere mah ye baras meri hayat-e-yak-nafas mera jahan-e-khar-o-khas mujh ko udhaar mein mila phul kuchh is tarah khila dil bhi zara sa kat gaya thoda sa rang khun ka rang-e-bahaar mein mila sham hi se mah-e-tamam chadhne laga falak ka baam aakhir-e-shab ye narm-gam ek utar mein mila shahin' gulon ka qafila jis mein sharik wo bhi tha ek jagah ruka hua wadi-e-khar mein mila