nala shab-e-firaq jo koi nikal gaya josh-e-junun se chir ke cahrkh-o-zuhal gaya puchha mizaj is ka jo rashk-e-masih ne le kar mariz-e-ishq sambhaala sambhal gaya nikli zaban-e-shama se kya baat raat ko sunte hi jis ko bazm mein parwana jal gaya ahd-e-shabab chashm-e-zadan mein hua tamam jhonka tha ek nasim ka aa kar nikal gaya dar-e-fana mein kaun hai jis ko qayam hai koi yahan se aaj gaya koi kal gaya kaisa hi koi kyun na ho koi chaalak shahsawar guzra jo rah-e-ishq mein wo sar ke bal gaya ab aai raat dekhen guzarti hai kis tarah banda-nawaz din to bahanon mein tal gaya ye tair-e-nafas bhi to wapas na aaega jab chhod kar badan ke qafas se nikal gaya lutf-e-kalam-e-'mashriqi' us ko raha bhi yaad sun kar mushaira mein jo meri ghazal gaya