subha hai zunnar kyun kaisi kahi zahid-e-ayyar kyun kaisi kahi kat gae aghyar kyun kaisi kahi chha gai har bar kyun kaisi kahi hain ye sab iqrar jhute ya nahin kijiye iqrar kyun kaisi kahi ruthne se aap ka matlab ye hai is ko aae pyar kyun kaisi kahi kah diya main ne sahar hai jhut-mut ho gae bedar kyun kaisi kahi ek to kahte hain sadha bhaptiyan aur phir israr kyun kaisi kahi naseha ye bahs diwanon ke sath aql ki hai mar kyun kaisi kahi ya khafa the ya zara si baat par ho gai bauchhaar kyun kaisi kahi mujh se baiat kar le tu bhi waiza hath lana yar kyun kaisi kahi surma de kar dil ke lene ka hai qasd aankh to kar chaar kyun kaisi kahi jaan de de chal ke dar par yar ke o dil-e-bimar kyun kaisi kahi kya hi bigde ho patte ki baat par ho gae bezar kyun kaisi kahi ab to 'haidar' aur hi kuchh rang hain manta hun yar kyun kaisi kahi