nalan hua hai jal kar sine mein man hamara pinjre mein bolta hai garm aaj agan hamara piri kaman ki jyun mane nahin akad kun hai zoaf bich duna ab bankpan hamara chalta hai jiw jis par jate hain us ke pichhe saude mein ishq ke hai ab ye chalan hamara milne ki hikmaten sab aati hain hum ko ek ek go bu-ali ho launda khata hai fan hamara majlis mein aashiqon ki aur hi bahaar ho ja aawe jabhi rangila gul-pairahan hamara is waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa lagta hai jab badan se tere badan hamara ye muskuraona hai to kis tarah jiyunga tum ko to ye hansi hai par hai maran hamara izzat hai jauhri ki jo qimti ho gauhar hai 'abru' haman kun jag mein sukhan hamara