nigah teri ka ek zakhmi na tanha dil hamara hai jagat sara teri in shokh do ankhiyon ka mara hai hue hain aashiqan ki fauj mein hum sahib-e-naubat bajaya aah ke danke seti dil ka naqara hai hamara din-o-mazhab ai sajan teri itaat hai khuda ka kyun na ho banda ki jin tujh kun sanwara hai bujha ai bewafa pani sun apni mehrbani ke dahakta dil manin mere tere gham ka angara hai khajil ho kar meri anjhuwan ki jhad sen abr pani ho tadapna dekh kar dil ka hamara barq haara hai hamein to raat din dil sin tumhaari yaad hai pyare tuman nen is qadar pyare haman kun kyun bisara hai nazar karna karam sin 'abru' pe tum kun lazim hai kisi laeq nahin to kya hua aakhir tumhaara hai