nale dam lete nahin ya-rab fughan rukti nahin go qafas mein band hun lekin zaban rukti nahin dar raha hun tut jaengi qafas ki tiliyan kya musibat hai hawa-e-bostan rukti nahin didani hain mulzim-e-hasti ki tufan-kheziyan dubne se kashti-e-umr-e-rawan rukti nahin ud ke hum pahunchenge manzil par hawa-e-shauq mein karwan ruk jae gard-e-karwan rukti nahin diqqaten hael hain fann-e-sher mein lekin 'aziz' ek aandhi hai meri tab-e-rawan rukti nahin