nara-e-takbir bhi zahid nisar-e-naghma hai kis qadar allahu-akbar e'tibar-e-naghma hai kya surili thi sada-e-harf-e-kun roz-e-azal ab tak rag rag hamari be-qarar-e-naghma hai andalib-e-khush-nawa par aankh hai sayyaad ki nargis-e-shahla sarapa intizar-e-naghma hai tafraqa ho is tarah to kya jame ishrat ka rang dil zaif-o-natawan lab zer-e-bar-e-naghma hai sher do hain hazrat-e-ghaalib ke diwan mein 'aziz' ye ghazal meri usi mai ka khumar-e-naghma hai