nale ka aaj dil se phir lab talak guzar hai tak gosh rakhiyo idhar sath us ke kuchh khabar hai ai hubb-e-jah walo jo aaj tajwar hai kal us ko dekhiyo tum ne taj hai na sar hai ab ki hawa-e-gul mein sairabi hai nihayat ju-e-chaman pe sabza mizhgan-e-chashm-e-tar hai ai ham-safir-e-be-gul kis ko dimagh-e-nala muddat hui hamari minqar-e-zer par hai sham-e-akhir-e-shab hun san sar-guzasht meri phir subh hote tak to qissa hi mukhtasar hai ab rahm par usi ke mauquf hai ki yan to nai ashk mein sarayat nai aah mein asar hai tu hi zamam apni nake tuda ki majnun muddat se naqsh-e-pa ke manind rah par hai hum mast-e-ishq waiz be-hech bhi nahin hain ghafil jo be-khabar hain kuchh un ko bhi khabar hai ab phir hamara is ka mahshar mein majra hai dekhen to us jagah kya insaf dad-gar hai aafat-rasida hum kya sar khinchen us chaman mein jon nakhl-e-khushk hum ko nai saya nai samar hai kar 'mir' us zamin mein aur ek ghazal to mauzun hai harf-zan qalam bhi ab taba bhi idhar hai