wo chahchahe na wo teri aahang andalib kis gul ki yaad mein hai tu dil-e-tang andalib be-dad-e-baghban se jo main sair-e-bagh ki lakhon dabi padi thin tah-e-sang andalib ab barg-e-gul bhi chhine hai dast-e-nasim se aage to is qadar na thi sarhang andalib kya zulm hai ki tu hai asir aur bagh mein kaliyan nikalti hain nae rang andalib tujh ko asir gardish-e-ayyam ne kiya chob-e-qafas se karti hai kyun jang andalib gar shakh-e-gul mein ho kamar-e-yar ki lachak is se ude na khawe agar sang andalib jata hun gar chaman mein to rakh rakh ke kan ko nale ka mujh se sikhti hai dhang andalib wallah bhul jawe tu sab apne chahchahe gar bagh mein ho wo sanam-e-shang andalib aa kar chaman mein 'mushafi'-e-khasta kya kare ab sair-e-gul ko samjhe hai ye nang andalib