nale mere jab tak mere kaam aate rahenge ai zauq-e-nazar wo lab-e-baam aate rahenge ai zauq-e-talab tu jo salamat hai to kya gham lab tak mere khud jam pe jam aate rahenge dil zinda agar ho to phir ai zist ke talib har gam pe jine ke payam aate rahenge manzil ki tamanna hai to thukra ke nikal ja sayyaad liye dana-o-dam aate rahenge kha jao na dhoka kahin manzil ke guman par raste mein kuchh aise bhi maqam aate rahenge 'akhtar' agar aabaad rahe gul-kada-e-dil! phir is mein to kuchh mast khiram aate rahenge